Monday, November 13, 2017

NAYI SAF LAGANA KA TARIQA*

*NAYI SAF LAGANA KA TARIQA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1178⭕

Namaz ki agli saf bhar jaye to nayi saf kahaan se lagani chahiye aur us saf banane ka kya tariqah hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Nayi saf imam ki line me darmiyan se banayi jaye darmiyan me jo khada us ki dayin-right janib dusra aadmi khada rahe, fir bayin-left janib tisra aadmi khada rahe fir wapas isee tarteeb se dayin bayin janib ek ek aadmi tarteeb se izafa hota rahe.
Har baad me aane wala darmiyan se dekhe ke kis taraf aadmi kam hai ? jis taraf kam ho us taraf khada ho jaye

و الله اعلم بالصواب

📗UMDATUL FIQAH SE MAKHOOZ

✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi

🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...