Friday, November 3, 2017

MUAZZIN KESA HO?

*MUAZZIN KESA HO?*

⭕AAJ KA SAWAL NO.⭕
Muazzin kese banaya jaye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Ahadeese shateefa se sabit hai ke muazzin aesa shakhs hona chahiye jo shareeat ka paband,amanatdar,dayanatdar,aur taqwaa wa tahaarat ka uncha darja rakhta ho.
Ek hadees me warid hsi ke huzoorSALALLAHU ALAYHE WASALLAM ne baz ansari hazrat se farmaya ke ,"apna muazzin aese shakhs ko muqarrar karna jo tum me sab se afzal ho"
(SUNANE BAYHAQI 1/626)

Qais ibne abi hazim farmate gai ke ek martaba ham ameerul muamineen ke pas gaye to aap ne puchha ke tumhare yahan muazzin kon hote hai?
ham ne arz kiya aksar gulam hote hai ya woh log log jo kabhi gulam reh chuke ho ye sunkar Hazrat umar radeeallahu anhu ne afsos karte huwe irshad farmaya ke ye to tumhare andar bada nuqs-kami hai azan to badi sharafat ki cheez hai agar mujhe khilafat ki masrufiyyat na hoti to me panj waqt namaz ke liye azan diya karta.
SUNANE BAIYHAWI 1/626

📗KITABUL FATAWA 1/237

Muazzin parha likha azan,namaz,aur us ke awqat ke masail ka jannewala aur buland awazwala hona chahiye darhi munde ya zaroori masail se na waqif ya buri aadatwale ko muazzin banana mana hai aese muazzin ko rakhnewale mutawalli -trasty gunehgar hai

📕FATAWA RAHIMIYYAH 4/90 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi chishti

🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/bayanatpost

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...