Monday, November 20, 2017

MUSHTZANI HASTMAITHUN KE NUKSANAT*

*MUSHTZANI HASTMAITHUN KE NUKSANAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1185⭕

Aaj kal aksar nav-jawano ko musht zani-hast maithun ki aadat hoti hai aur aurten ungali sharmgah me daal kar mani nikalti hain to yeh bataiye ke is ke kya kya nuksanat hain taake is se bachne ki fikr paida ho...

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Haath aur ungali se mani nikalne ke nuksanat hasbe zail-niche diye jate hain.

1. *CHAHRE PAR ASRAAT*

aise nav-jawan ka chehra pila, benoor ho jaata hai chahre se qudrati chamak aur noor khatm ho jaata hai, gaal pichak-(baith) jaate hain, aankhon ke gird (aaju baju) kaale khadde pad jaate hain. aisa insan khun ki kami ki wajah se dekhne wale ko pahli nazar me mariz ma'alum hota hai

2. *AASAB (MUSSELS) PAR ASRAAT*

Mussels  kamzor aur tabiyat me be sukuni aa jaati hai becheni ki wajah se quwwate bardasht me kami aa jaati hai jism har waqt thaka thaka mahsoos hota hai, aise log ko har waqt pade rehne ko pasand karte hain koi kaam karne no dil nahin chahta,  insan sust, kaam chor ban jaata hai, gussah badh jata hai.

*DIL PAR ASRAAT*

Chalne firne ya kaam karne se dil ki dhadkan tez ho jaati hai nav-jawan nisyaan (bhulne ki bimari) ka mareez ho jaata hai. talaba (students) ki ta'alim me bahot rukawat aa jaati hai. sabaq mushkil se yaad hota hai. aur jaldi bhool jata hai. zahani kaam karne ko dil nahin chahta hai. talaba (students) ko study  (ta'alim) ke alawah har cheez achchhi lagti hai.

*JISMANI QUWWAT PAR ASARAAT*

Wazan kam hote hote insan haddiyon ka dhancha nazar aata hai. zaraa sa kaam karne se thakawat mahsoos ho jaati hai. jawani me budhape ki si haalat ho jaati hai. khun ki kami ki wajah se kaam ke waqt haath paun kaanpte hai. baithte huve uthte huve aankhon ke samne andhera aa jaata hai. haazmah kamzor ho kar reeh (hawa-gas) ya qabz ki bimari ho jaati hai. peshab karne ke baad bhi qatre aate rehte hain

*JINSI QUWWAT (SEX POWER) PAR ASARAAT*

Sex line ke eatibar se bahot hi kamzori aa jaati hai. sur`ate inzal- jaldi mani nikal jane ki bimari lag jaati hai. eahtalaam (nightfall)  ki kasrat ho jaati hai. sharmgah me terhapan aa jata hai. shahwat ke waqt puri sakhti nahin hoti. jis ki wajah se bivi ke saath hambistari ke qaabil nahin rahta. zillat aur be-izzati ke alawah kuchh haath nahin aata wagairah bahot nuksanat hain.

Tauba istigfar aur nadamat se yeh gunah muaaf ho jaata hai. lihaza tauba kar ke is aadat ko fauran chhod dena chahiye
is aadat ko chhodne ke liye kya kare? aayindah kal ke msg me paish kiya jayega.
ان شاءالله تعالی

و الله اعلم بالصواب

✏MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON HANFI

🕌USTAAD E DAARUL ULOOM
RAMPURA SURAT, GUJARAT, INDIA

📲💻WWW. AAJKASAWAL.PAGE.TL

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...