*LIBAS KAISA HO*?
⭕AAJ KA SAWAL NO.1191⭕
Libas kaisa pahanna chahiye aur kaisa nahi pahanna chahiye uski kya sharten hain?
🔴AAJ JA JAWAB🔴
حامدا و مصلیا و مسلما
Libas jis tarah ka bhi pahna jaye jaiz hai, basharte ke inme yeh baate zaruri hain.
1⃣Aurato ka libas itna chhota ya barik aur chust na ho jisse unke jism ki banavat aur woh a'aza zahir ho jaye jinhe chhupana wajib hai.
Qur'an me Allah ta'ala ka irshad hai ke *ay aadam ki avlad !*
*Hamne tumhare liye aisa libas utara jo tumhari poshida aur sharm ki chizon ko chhupata hai.*
*Aur jo tumhare liye zeenat ka sabab banta hai aur taqwa ka libas tumhare liye behtar hai.*
2⃣ Libas me gair muslimo aur kafiro jaisi mushabahat (similarly) na ho ke us libas ko dekhe to koyi khas qaum ka libas samjha jaye.
3⃣ Jis libas se guroor va takabbur paida hone ka andesha ho ya uske pahnne se Israf (fuzool kharchi) hoti ho to usse bachna zaruri hai
Huzur sallallahu alayhi wasallam ka irshad hai ke *jo shakhsh duniya me shohrat wala libas pahnega Qiyamat ke din Allah ta'ala usko wohi libas pahnayega aur jahannam me dalega.*
📗Abu dawood 558
📘Ibne maja 257
📙Mishkat sharif 375
4⃣.Barik kapda jisse badan ke andar ka hissah va jism nazar aaye,
Jaise siffon, naylon, net ka barik libas pahenna usi waqt jaiz hoga jab andar bhi kuch pahena huva ho ya astar lagaya ho, Warna is tarah ka kapda pahenna na-jaiz hai aur yeh kapde pahen kar namaz bhi nahi hoti. *aaj kal aurten aastin me se poore bazu nazar aate hai chothai bazu ya chothai hath khula rahe to namaz nahi hogi*
📗Hadiyah e khwatin
5⃣. Maali istita'at se ziyadah qeemat ke libas ka ehtemam na kare.
6⃣.Maaldar shakhs itna ghatiya libas na pahne ke dekhne wala use muflis (garib) samjhe.
7⃣. Mardo ka asli resham ka libas pehnna haram hai.
8⃣. Khalis surkh (laal) libas pahenna mardo ke liye makrooh hai.
Koi aur rang bhi surkh -(laal) ke saath mila ho to fir makrooh nahin
📗Mishkat 375
📕Aap ke masail or unka hal 7/147.
📔Tosha'e momin 182.
Mufti Imran Ismail Memon Hanfi chishti
Www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment