*Joote Pahan kar Namaze Janaza padhna*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1183⭕
Janaze ki namaz joota, chappal pahan kar padhna hai ya utaar kar?
🔵Jawab🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Aaj kal ba'az log Janaza ki Namaz joote, chappal pahne huve padhte hain, unke liye zaruri hai ke woh jis jagah khade ho Woh jagah aur Joote, chappal dono paak ho, varna unki Namaz nahin hogi ,
📗 Bahishti Gohar
Aur agar joota, chappal pair se nikaal diya jaye aur us per khade ho to sirf Joote, chappal ke upar ka hissah jo pair se mila ho uska paak hona zaruri hai, agarche talaa napaak ho, neez is soorat me woh zameen bhi napaak ho to koi harj nahin. lihaza joota, chappal nikalne ki soorat ehtiyat wali hai
📘Bahishti Gohar, imdadul Ahkaam
📗Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 62
✏Haq ka dayee ansar ahmad
No comments:
Post a Comment