Tuesday, November 14, 2017

BAAD ME AANE WALA SANAA KAB PADHE

*BAAD ME AANE WALA SANAA KAB PADHE*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1179⭕

Farz namaz shurua ho chuki ho to baad me aanewala shakhsh aur masbooq (jis ki rakat chhut gayi ho) sanaa kab padhe ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

jahri (zor se padhi jane wali namaz) me imam ne jab tak qiraat shurua na ki ho tab tak padh sakte hai agar imam qiraat shurua kar chuka hai to sanaa padhna jaiz nahin khamoshi se qiraat sunna chahiye
agar aahista padhi janewali namaz hai to baad me aane wala andazah lagaye ke imam ne qiraat shurua na ki hogi to sanaa padh sakte hai aur galib guman hai ke imam ne qiraat shurua kar di hogi to sana na padhe,

Yahi hukm masbooq ka hai albattah masbooq ne agar imam ke pichhe sanaa na padhi ho to chhuti huyi rakat jab adaa karne khada ho to us waqt qiraat se pehle sanaa padh lena behtar hai agar sana na bhi padhi to bhi namaz sahih ho jayegi.

📗UMDATUL FIQAH JILD 1 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi

🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...