✦ PARDE KE AHKAAM ✦
⭕AAJ KA SAWAL NO.557⭕
Kiya quran Me parde Ka hukm saraahatan-saf saf hai?
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
▦══─────────────══▦
⊙ PART – 01 ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ 01- Parde ka Hukm Quran me,
★ Khaliq e Fitrat ne Bila zarurat Aurat ka ghar se nikalne ko bardasht nahi kiya taki napaak nazro ki hawas se gard Alood-meli na ho jaye,
★ Qurane Kareem ka irshad he,
وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ الْجَاهِلِيَّةِ الْأُولَىٰ
® Shrah Al- Ahzab, 33
→Tarjuma :- aur Tiki raho apne gharo me aur mat niklo pehli jahiliyat ki tarah ban than kar,
★Pehli jahiliyat se muraad islam se pehle ka daur he jisme Aurte’n Be-hijaab-parda bazaro me apne aurat hone ki numaish kiya karti thi,
★Doosri Jaahiliyat ka daur bhi aane wala he ( balki qareeb qareeb aa chuka he ) Jisme Aurte’n apni fitri khususiyaat ke taqazo ko jaahiliyate jadeeda ( moderate) ke sailaab ki nazar kar dengi,
Aapke Masail aur unka Hal, 8/28
Next -02 ©ontinue in sha Allah,,
✏ Haqq Ka Daayi ansar ahmad
®TASHEELO TASDEEQ (MUFTI) IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
━═───────────────
No comments:
Post a Comment