🎂BIRTH DAY MANANE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL NO.556⭕
A. Birthday manana kaisa hai us me gift-tohfa dene ka kiya hukm hai?
B.naye sal ki khushi manana kesa hai?
🔵JAWAB🔵
★ Saalgirah manane ki Rasm Angrezo ki ijaad he aur gair sharai, najaa’iz he,
★ Saalgirah manana najaa’iz he isliye is fuzool kaam me shirkat bhi fuzool he,
★ Tohfa dena ek achchhi baat he lekin Saalgirah ki bina per dena Bid’at he,
★ Agar koi Saalgirah me dawat de to samjhaish ke saath inkaar karna behtar he,
⇨ inkaar karna ajeeb lagta he kyuki dilo dimag me angreziyat rach bas gayi he, islam aur islami tehzeeb nikal chuki he,
★ isi tarah naye saal ki aamad ki khushi manayi jati he, ye bhi angrezo ki rasm he, musalman jahalat ki vajah se manate hai,
📗 Aapke masail aur unka Hal,,
Jild-8, Safa-127
✏HAQ KA DAI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
No comments:
Post a Comment