💰⭕AAJ KA SAWAL ⭕
Maiyyat ki Meeras-Warsah ke kiya huqooq he us ke warsah ka kiya karna chahiye?
🔵JAWAB🔵
🔖Maiyyat ke kul warsah me
Tarteebwar char huqooq wajib hain un ko sharee qaidah ke mutabiq theek theek ada karna warison kee aham zimmedari hai yahan tak ke maiyyat ke jeb me paan pada hai to kisi shakhs ko ye jaiz nahi woh sab haqdaron ki ijazat ke bagair munh me Dale kiyun ke woh ek admi ka hissa nahi.
Woh 4 char huqooq ye hain
1.tajheezo wa takfeen-kafan dafan.fir jo pese bache us me se
2.dain (mal ke baqi paise) aur qarz fir jo paise bache us me se
3.jaiz wasiyyat agar maiyyat Ne kee ho to woh kul bache huwe mal ke ek tihai 33.33% me se puri ki jaye fir jo bache us me se
4.warison par meeraas ki taqseem un ke sharee hisson ke mutabiq ki jaye.
📗AHKAME MAIYYAT SAFA 145
📝IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment