⚫NAQAB KA SUBOOT⚫
⭕AAJ KA SAWAL NO.558⭕
PARDA PART 2
⚪Kiya quran me chehre ke parde- naqab ka hukm saraahatan-saaf saaf hai?
🔵JAWAB🔵
🔖han hai jese ke quran ka parah 22 surah e ahzab me ayat no. 59 me allah taala farmate hain
یایہا النبی قل لازاجک و بناتک و نساء المومنین یدنین علیہن من جلابیبہن
🔖ae nabi e akram SALALLAHU ALAIHI WASALLAM! Aap apni paak bibiyon aur apni betiyon aur mumin aurton ko farma dijiye ke apne chehre par apni chadar Ka kuchh hissa latkaye rakhe
Us zamane me naqab nahi bane the lihaza chahre ko chhupane ke liye chadar ka kona latka liya jata jis me se ek aankh bhi rasta wagairah dekhne ke liye khuli rakhi jati thi
Parah 18 Surah e noor me hai.@ 31 me hai
و لا یبدین زینتہن
Aur apni zeenat zahir na kare
(Zeenat ke cheezen honth, gaal, aankh, naak ye sab chehre me hee aata hai.
🔖aurat me zeenat ka asal markaz chehra hai lihaza use to dusre aaza ke muqabale me khas taur par khula na rakhna chahiye balke dhankna chahiye)
✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
No comments:
Post a Comment