Friday, December 11, 2015

Gusul ki Sunnnaten

🚿GUSL KI SUNNATEN

⭕ AAJ KA SAWAL NO. 448⭕

🚿Gusal Ki Sunnate Konsi He ?

🔵 JAWAB

1⃣ Niyyat Karna Yane Dil Me Ye Irada Karna.
Me Najasat Se Paak Hone Ke Liye Aur Allah Ko Razi Karne Aur Sawab Ke Liye  Na Ke Badan Saaf Karne Ke Liye.

2⃣  Tarteeb Se Gusal Karna Yane Pehle Hathon Ka Dhona Fir Khas Hisse-sharmgah Ka Dhona Fir Najasate haqiqiyah-jo najasat nazar aati hai ho to us Ka Dhona.
Fir Pura Wuzu Karna Aur Agar Aaisi Jagah Ho Jaha Pani Jama Rehta Ho To Pairo Ka Gusal Ke Baad Dusri Jagah Hatkar Dhona Fir Tamam Badan Per Pani Bahana.

3⃣ Puri Bismillah Ka Kehna.

4⃣ Miswak Karna

5⃣ Hath Pairo Ki Ungliyon Aur Dadhi Ka 3-3 Baar Khilal Karna.

6⃣ Pure Badan Ko Malna

7⃣ Badan Ko Is Tarah Dhona Ke Jism Aur Hawa Ke darmayani (Na Zyada Garmi Ho Na Thandak) Hone Ke Waqt Ek Bhi Hissa Sukh Na Paave Ke Dusre Hisse Ko Dho Dale.

8⃣ Tamam Jism Per 3-3 Martaba Pani Daalna.

📗 Kabiri 50
📘Hidaya 1/11

📝LIKHWAYA IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_📲+918822238899

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...