🚿 GUSAL KE MASAIL AUR SUNNAT
⭕ AAJ KA SAWAL NO. 449⭕
Bagair Niyyat Ke Gusal Karna Kaisa He ?
🔵 JAWAB🔵
🔖Wuzu Aur Gusal Bagiar Niyyat Ke Motabar Honge, Kyuki Hamare Imam Abu Hanifa r.a. Ke Nazdeek Niyyat Farz Nahi Balke Sunnat Aur Mustahab He.
Lihaza Bagair Niyaat Ke Gusal Aur Wuzu Kiya Gaya To Ada Ho Jaega.
📗 Masaile Gusal Safa - 20.
⭕ AAJ SAWAL NO. 450⭕
A. Gusal Khane Me Jaane Aur Nikalne Ka Masnoon Tariqa Kya He ?
🔵 JAWAB🔵
🔖Gusal Khana (Baathroon) Me Aam Taur Per Safai Nahi Hoti Isliye Baitulkhala Ki Tarah Gusal Khane Me Dakhil Me Dakhil Hote Waqt Pehle Baya Paav Andar Rakhe Aur Nikalte Waqt Pehle Daya Paav Nikale.
B.➡ Gusal Se Pehle Bismillah Parhna Masnoon He Lekin Bismillah Agar Nange Nahana Ho To Kapde Utarne Se Pehle Parhe.
➡ Gusal Khane Me Dakhil Hone Se Pehle Parhe Aur Farig Hone Ke Gusal Khane Se Nikalkar Wuzu Wali Dua Parhe.
📗 Ahsanul Fatawa 2/37
📝 LIKHWAYA IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
No comments:
Post a Comment