Friday, December 11, 2015

Wuzu Ke Masail

🛀WUZU KE MASAIL

⭕AAJ KA SAWAL NO.545⭕

🛀Wuzu Ke kitne farz hai? Tafseel Se batlaye

🔵JAWAB🔵

Wuzu ke 4 faraiz hai.
(1)muh ka dhona
(2)dono hatho ka dhona
(3)sar ka masah karna
(4)dono pero ka dhona
Inhi 4 chizo ke dhone ka nam wuzu he

⭕SAWAL NO. 546⭕

⚫Peshani par bal na ho to kaha se dhoye?

🔵JAWAB🔵

🔖Muh dhone ki sharuat lambayi me peshani se yani jaha se sar ke agle hisse ke bal aam tor par ugne shuru hote he.

🔖Vahan se thodi (thuddi) ke niche tak or chodai me ek kan ki lo se dusre kan ki lo tak dhona farz he.

⭕SAWAL NO. 447⭕

Dhona kisie kehte hai?

🔵JAWAB🔵

🔖Fukaha (masail ke mahirin) ke nazdik dhona nam he is ka ke pani ek makam se dusre makam par beh jaye or kam se kam 2(do) katre uzva se dhone ke bad favran tapak jaye.

🔖Baz gor talab maqam jin ka dhona zaruri hai:-
(1)Ankh ka kona jo nak ke qarib he uska dhona farz he or aksar us par Mel (popde) aa jate he us ko dur kar ke pani pahochana chahiye.

(2)Jo hissa(lo ke qarib) gal or kan ke darmiyan he us ka dhona farz he, chahe dadhi nikli ho ya na nikli ho.

(3)Thodi(thuddi) ka dhona farz he is shart ke sath ke bal us par na ho ya ho to is qadar kam ho ke khal nazar aa jaye.

(4)Hont ka jo hissa ke hont Bandh hone ke bad dikhayi deta he us ka dhona farz he.

📗UMDATUL FIQAH SE MAKHOOZ.

📝AMLAHU: IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
✅join_📲+918822238899

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...