Wednesday, October 12, 2016

KHICHDA KA CHANDA & KOI BHEJE TO?

🍲KHICHDA KA CHANDA & KOI BHEJE TO?

⭕AAJ KA SAWAL NO.809

ashoorah ke din khichda pakane walon ko chanda dena aur chanda wasool karna kesa hai ?

khichda hum na pakaye aur kahin se aa jaye to le sakte ya nahi ?

AAJ KA JAWAB

Huboob yani nooh علیہ السلام ke khichda pakane ki is riwayat ko raeesul muhaddiseen barelvi aur devbandi dono hazrat ke badey aur qabile aiatimad shakhsiyyat hazrat shah abdul haq muhaddise dahelvi rahmatullahi alayhi ne mavzooa banawati qarar diya hai. jesa ke is se pehle ke sawal me guzar chuka.

📗(maa sabat minas sunnah safa 16/6)

lihaza is ko sawab samajh kar banana bidat aur na jaiz hai. is me jaani ya maali hissa lena bhi durust nahi, mashhoir kitab 'al bidayah wa nihayah' tareekh itihas ki paaye ki aham purani kitab hai, jise barelvi ulamaa bhi mante hai, us me saaf likha hai ke khichda pakana, us din khushi manana kharjiyon  (ahle bait-khandane nabi salallahu alayhiwasallam ke dushmano) ka shiaar -khas tareeqah hai

📕 al bidayah wan nihayah 8/203

agar ghar par koi khichda bheje to usey lena bhi na chahiye, ta ke bidat aur rasm par tambeeh ho sake, aur pakane walon ki islah ho.

📗kifayatul mufti 1/226

📕bahishti zewar 6/61

📘deenee masail aur un ka hal safa 85,86 se makhooz.
hazrat mufti salman mansoor puri d.b.ki kitab.

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...