Saturday, October 8, 2016

🍜MOHARRAM KHICHDA HI PAKANA

🍜MOHARRAM KHICHDA HI PAKANA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 805⭕

Kyaa farmate hai ulama e kiraam is barey me ke muharram me khichada hi pakaya jaaye?
khichde ke saboot ke taur bayan kiya jata hai ke nooh علیہ السلام ki kashti ashoorah ke din judi pahad par thehri to unhone bataure shukranah khichda pakaya tha isliye ham bhi pakate hai.is riwayat ka kya hukm hai?
Bareli aur deoband ke maane huwe hawale se jawab dene ki guzarish.

🔵Jawab🔵

Hazrat Nooh علیہ السلام Ki kashti ne toofan se najaat paayi aur judi pahaad par thehri, Nooh علیہ السلام Ne bataure shukranah kashti me maujud 7 qism ke gallo (anaaj) ka huboob (khichada) banaya.is riwayat ko bhi dewbandi wa barelvi ulamaa ke sartaaj hazrat maulana shah abdul haq muhadise dehlvi rahmatullahi alayhi Ne mawzuaa (banavati) qaraar diya hai.

📚Maa Sabat bis sunnah 16/6

mawzooa (banavati) hadees ki misaal dete huwe farmate hai ke "ka fais salati, wal iktihaali, wa tabkhil huboob, zaalika qullu mawzuoon wa mafturaa"

Jaise namaaz ki fazilat, surmaa dalne ki aur khichda pakane ki aur iske alawa tamam fazilat mawzuaa aur iftraa (bohtaan) hai,

📚Barelvi aur ulama e deoband ki maani huwi kitaab *maa sabat bis sunnah*
Safa 17.
Lihaza khichda hee pakana zarooree nahi.ahle ayal ko pasand ho woh hee pakana chahiye.us din ahle ayal par wusat-kuchh zayada kharch karne ki fazeelat muft me taqsim hone wale khichde ki wajha se bazon ki chhot jati hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...