🌉DIWALI KI MUBARAKBADI
⭕AAJ KA SAWAL NO.826
gair qom ke sath kisi ke bahot talluqat hote he ab ger qom padosi bhi ho sakta he aur jab hamara koy tehvar hota he to voh khud aate he aur kehte he eid mubarak vagerah vagerah
ab jab unka koi tehvar ho aur ham na kahe to bura asar pad sakta hai
padosi ka haq jo ahadish me bataya gaya he aap ko to pata hi hoga
me ye alfaz bol ke said kar leta hu jis se rishta bhi bache aur gunah bhi na ho
1 .koyi bhi inka tehvar ho tab bolta hu (tumko tumhari divali mubarak) ye sahi he ya galat jawab dene ki guzarish
AAJ KA JAWAB
Mubarak ke maane barkat ho
Matlab (allah ki panah)
Tumhare tehwar ki puja,gair sharee rasmo riwaj fuzool,kufr dhating me barkat, yaani taraqqi ho.
Mubarak badi dene me in ki shirkiyyah rasm ki tayeed hoti hai jis se bachna zarooree hai.warna kufr tak pahonchne ka andesha hai
Kiya ab matlab samne aane ke baad aesi duaa dene ko aap ka dil gawara karega? Hargiz nahi.
To kiya kaha jaye
Ye kaha jaye
‘’Diwali kesi ja rahi hai
Kese ho?
Aaj aap ki dewali hai na?
Allah aap ka bhala kare
Allah aap ko hamesha khush rakhe
Diwali ke mawqe har cheez me saheeh rasta (hidayat) dikhaye
Allah aap ko haqeeqee khushiya den”
Wagairah koi bhi duaa den.
📗fatawa mahmoodiya 19/567
📕kitabul fatawa 1/304 se makhooz
👉JAMIATE ULAMA E GUJRAT KA IJLAAS 👈
SURAT RANDER ISLAMI JIMKHANE ME 3:11:16 BA ROZE JUMARAT ASAR SE ISHA HALATE HAZIRAH WA ISLAHE MUAASHARAH KE UNWAN PAR KHUSOOSEE MEHMAN HAZRAT MAULANA SAIYYAD SALMAN NADWI SAHAB D.B.,
HAZRAT MAULANA ASRARUL QASMI MP
HAZRAT MUFTI MAHMOOD BARDOLI SAHAB D.B.AUR DEGAR GUJRAT KE BAHOT SE AKABIREEN WA ULAMAA TASHRIF LAYENGE AUR KHITAB FARMAYENGEN.
LIHAZA IS MAVQE PAR GUJRAT ME REHNEWALE HAR FARD SE GUZARISH HAI KE SHIRKAT FARMAKAR APNI IMANI HARARAT AUR BEDARI KA SUBOOT PESH KAREN
No comments:
Post a Comment