⭕AAJ KA SAWAL NO. 811 ⭕
Ek se ziyadah shaadi karna kya islami shariat ka hukm hai ? aur kya 4 (chaar) shaadi karna sunnat hai ?
🔵Jawab🔵
Ek se ziyadah shaadi karna yeh shariat e islami ka hukm (order) nahin hai balke iski jise zarurat ho uske liye ijazat hai is shart ke saath ke un me baraabari aur insaaf kar sake. *un me se kisi ke bhi huquq me kotahi na kare agar yeh shart puri na kar sakta ho to uske liye ek se ziyadah shadi karna haraam hai*.
Isee tarah char (4) shadi bhi sunnat nahi balke aakhri had hai ya'ani ek sath ziyadah se ziyadah char aurten nikah me rakh sakte hain char se ziyadah ek sath nikah me rakhne ki ijazat nahin hai.
📗MAKHOOZ AZ MARIFUL QURAAN PARAH 4 SURAH E NISAA AYAT 3 SE
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment