Monday, October 24, 2016

MARD KO 1 SE ZIYADA NIKAH KI IJAZAT KYUN

MARD KO 1 SE ZIYADA NIKAH KI IJAZAT KYUN

⭕AAJ KA SAWAL NO. 821⭕

Islam me Mard ko ek se ziyada nikah ki ijazat kyun hai ?

🔵JAWAB🔵

Islam me Mard ko ek se ziyadah nikah ki ijazat hone ki bahot si wujoohat hai, jis me kuchh hasabe zel hai.

1. islam deen pure alam ke liye hai, baaz ilaqon ki aabohawa, giza, mahol, jismani sihhat, aesi hoti hai ke rozanah ya kam se kam har hafte sohbat-hambistari zarooree hoti hai, ta ke zina-badkari se hifazat ho. kyun ke kudrat ne baaz insanon me ziyadah shahwat rakhi hoti hai, un ko ek aurat kafi nahi hoti.

2. Aurat har waqt is qabil nahi ke us se sohbat ki ja sake, har mahine me kuch din haiz-mc ke aise hote hai jis me sohbat karna haraam hai, aur baaz martaba aurat hamal se hoti hai,  to uske akhiri mahine aise hote hai ke us me bachche aur apni sihhat ki hifazat ke liye hambistari karne se parhez zarooree hota hai, aise waqt me sirf ek hi bivi ho to qawi shahwat wala mard apni is jismani zaroorat ko kese puri karega ? Zahir baat hai ke use pura karne ke liye dusri aurton se na jaiz talluqat qaim karega aur apni aur dusron ki zindagi tabah karega. agarche baz hazrat aese waqt me bhi shahwat par control rakh sakte hai, likeen ziyadah qawi shahwat wale log zina aur badkari me mubtala ho jate hai, islam me neki karne ke muqablah me taqwa yani gunah se bachna muqaddam aur ziyadah zarooree hai, lihaza aise hazraat ke liye ek se zayadah bivi se nikah alawah koi ilaj nahi hai, koi aqalmand admi is zaroorat se inkar nahi kar sakta.

*Baqi dalilen kal pesh ki jayegi.*

INSHA ALLAH انشالله

📗AHKAME ISLAM AQAL KI NAZAR ME
SAFA 194 SUR 195 KA KHULASAH

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...