⚫ KAALA LIBAAS ⚫
⭕AAJ KA SAWAL NO. 802⭕
Kaala libaas pahenna kaisa hai khusoosan muharram me ba'az log is ko aehtamam se pahente hain is ka kya hukm hai.?
🔵Jawab🔵
Kaala libaas pahenna Huzoor صل اللہ علیہ وسلم se aur sahaba رضی اللہ عنہم se saabit hai isliye siyah libas pahenna ba'az fuqhaa ne mustahab qarar diya hai
📕FATAWA HINDIYYAH 5/330
Lekin khas taur se is zamane me shiyon ka shiaar (khas mazhabi nishsni) hone ki wajha se muharram ke mahine me aur jahaan shiyon ka galbah aur zor ho wahaan us se hamesha bachna zaruri hai.
📕KITABUL FATAWA 6/92
📗AHSANUL FATAWA 8/63 SE MAKHOOZ
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
https://www.blogger.com/blogger.g?blogID=4072438916428788763#editor/target=post;postID=4620905493132360842;onPublishedMenu=posts;onClosedMenu=posts;postNum=2;src=postname
ReplyDeleteKAALA LIBAAS 😭
ReplyDelete👉🏻 Ayesha bint Saad bayan karti hain:
Bani Hashim ki khawateen ne ek saal tak, siyah libas mei Imam Hasan (a.s.) ka gham manaaya
📚 hawale :
• Al-Mustadrak ala al-Sahihain: Jild 3 Safha 189
• Tarikh Medina Dimishq: Jild 13 Safha 295
• Usud al-Ghabah: Jild 2 Safha 22 (kuchh farq ke saath)