Sunday, October 9, 2016

MUHARRAM KE MAHINE KYA KAREN? AUR KYA NA KAREN?

MUHARRAM KE MAHINE KYA KAREN? AUR KYA NA KAREN?

AAJ KA SAWAL NO.806

MUHARRAM KE MAHEENE KI MASHHOOR BIDATEN KYA KYA HAIN?

AAJ KA JAWAB

10 Muharram ko Shahadat ka bayan karna; agarche sahih riwayaton se ho ya Sabeel lagaa kar sharbat 🍹pilana ya Chanda Sabeel sharbat me dena, ya doodh 🍼 pilana yeh sab sahih nahin hai aur Rawafiz (Shiyao) se mushabahat (similarity) ki wajah se Haraam hai.

📔 Fatawa Rasheediya 139
Taziya banane ka najayaz hona aur uska Khilaafe Deen o Iman hona Azhar minash shams hai, Qur'an e majeed me hai  اتعبدون ما تنحتون
Kya tum aisi cheezon ki , ibadat karte ho jisko tumne tarasha aur banaya hai ?
Zaahir hai ke Taziya insaan apne hath se tarash kar banata hai aur phir Mannat  maani jati hai aur usse muraaden maangi jaati hain, uske saamne aulaad aur sihhat ki duaen ki jati hain, Sajdah kiya jata hai, uski ziyarat ko Hazrat Hussain razi allahu anhu ki ziyarat samjha jata hai,
Kya yeh sab baaten Imaan ki Rooh aur Islam ki ta'alim ke khilaf nahi ?! yeh sab baaten Bid'at aur najayz hain.
📔 Fatawa Raheemiya 2/275, Fatawa Rasheediya 576.

 Aashoore ke din ke Mutalliq shariat ne khaas  Cheezen batlayi hain:

No. Rozah rakhna,
(9-10 ya 10-11 Islami taarikh ko.is sal 1438 me india me mangal budh ya budh jumiarat ka roza rakhe)

No. Ahel o Ayaal par khaane peene me wus'at karna. Hadees Shareef me hai ke Jisne aashoorah ke din apne baal bachon par khaane me wus'at (barhotri) ki to Allah Ta'ala poore saal Rozi me izafa karenge,(Bayhaqi)

iske ilawah us din ke liye aur koi Hukm nahin hai

📔 Fatawa Rahimiyah 2/380.

 Masael e Shirk o bid'at safa 214

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...