Wednesday, October 26, 2016

EK SE ZAID NIKAH

EK SE ZAID NIKAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.823⭕

Islam ne mard ko ek se ziyadah nikah ki ijazat kyun dee hai?

🔵Jawab🔵

Is ki 4 wajah is ke pehle ke do msg me zikr ki ja chuki.

5.shohar aur bivi ek dusre ke jivan saathi aur rafeeq hai agar qudrati taur par aapas me mijaz-swabhaw na mile halan ke us me bivi aur shohar ki koi galaty bhi na ho lekin tabeeat nahin mel khati aur woh talaq bhi nahin mangti aur shohar dusri shadi kare us par raazi bhi hai to us surat me is ka ilaaj dusra nikah karna hai agar dusre nikah ki ijazat na di jaye to is ka matlab yeh hoga ke pehli aurat ko talaq do. talaq par badnam karoge to us ko aisa pareshan karo ke khud talaq mange ya dusre mazhabwalo ki tarah khudkushi kar le.

6.Ba'az martaba aurat ko aisi bimari lag jati hai jis ki wajah se woh shohar ki jismani zaroorat puri karne ke qabil nahin rehti ya us ki khubsurati kisi wajah se jaati rehti hai aur shohar ka dil us se nahin lagta aur us  bivi se bachche bhi hai jis ki wajha se na bivi talaq lena chahti hai na shohar use talaq dena chahta to uska aasan ilaaj dusre nikah ke alawa kya ho sakta hai?
dusre nikah ki ijazat na dene se to mua'ashare-samaaj me talaq ziyadah waqea hogi aur aurat aur bachchon par zulm hoga kyun ke chhote bachche Aurat ki parwarish me hone ki wajah se us se koi dusra nikah nahin karega agar koi nikah bhi karega to us Aurat aur us ke bachcho par sautela baap fitari muhabbat na hone ki wajah se zulm karega agar shohar pehli bivi ko chhodkar us bivi ke bachcho ko apne saath rakhkar dusra nikah karega to bachchen haquiqi (asal) maa ki muhabbat se mahroom rahenge aur aksar sauteli maa un bachchon ka haq ada nahin kar sakti.

8.dusre nikah ki ijazat na dena shohar ki nasal ko khatam kar dena hai kyun ke ba'az aurte baanjh hoti hain un se bachcha na hone ki bimari laa ilaaj hoti hai aisi surat me nasal ko aage barhane aur apna waris pane ke liye dusra nikah zaruri ho jata hai. jis mazhab ne bhi aisi surat me bhi dusre nikah ki ijazat nahin dee hoti hai woh aisi aurton ko zulm kar ke ta'ane de de kar khudkushi par majboor karte hain ya woh khud hi chhup kar jalaa dete hain aur khudkushi karne ka us par ilzam laga dete hain.

9.insan ke mijaz me alag alag zaiqah-test lene ki fitrat hai isi wajah se jo log ek se ziyadah nikah karne ko bura samajhte hain woh bhi apni ek bivi par qana'at aur santosh nahin karte dusri aurton se na jaiz ta'alluqat qayim karte hain. ya'ani legally ek se ziyadah bivi rakhna bura in legal girl frieand ke naam par aur naam ki bahan banaa kar jitni chahe rakh lo. astagfirullah !

woh khud apne dil me jhank kar dekhe ke dusri se ta'alluq qaim karne ka shauq hai ya nahin?

Allah ne insan ki isi fitrat ko dekhte huwe ek se ziyadah 4 tak ki nikah karne ki ijazat di hai jo bilkul sahih hai.

📗AHKAME ISLAM AQAL KK NAZAER ME SAFA 199 se201 ka khulasah maa izafa

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻*Update Islamic Group App..*

_Naye category add hue h alhamdulillah.._

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...