TAZIYE ME CHANDA DENA AUR US PAR FATIHA DENA
⭕AAJ KA SAWAL NO. 804⭕
Taziye me chanda dena aur us fatiha dena aur shireenee chadhana kaisa hai ?
🔵Jawab🔵
Barelvi alim maulana hakeem muhammad hashmat ali qadri farmate hain:
Taziyah ka bananewala ,rakhnewala, usme daame dirhame qadame (jaani wa maali) madad karnewala, us par sheerinee chadhanewala, fatiha denewala, sab gunehgar mustahiqe azabe naar (jahannam) hai, ye sab baate bid'at wa iyanat alal m'asiyat (gunahon par madad karna) hai, aur woh haraam hai aur sakht azab ka mustahiq hai, musalmano ko chahiye ke is bidate shaniah (buri bidat) se ba mujabi hadees ' iyyaakum wa muhdasaatil umoor' bache aur door rahe aur kisi tarah us me shirkat na kare.
📗MAJMOOUL MASAIL 1/119)
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment