AASHURAH KE DIN SURMA, GUSL, WAGERAH
⭕AAJ KA SAWAL NO. 808⭕
Aashurah ke din ashoorah ki ba jamat namaz ,surma lagana, gusal karna,mareez ki iyadat wagairah karne ke kha khas fazail baz kitab me hai un ka kyaa hukm hai ?
Baraa-e-maharbani ulama e deoband aur barelvi razakhani ki mani huve hawale se jawab den.
🔵Jawab🔵
Maslake devband aur barelvi ke mo'atamad (bharosemand) ra'asul mohaddiseen hazrat shah Abdul haq muhaddise dehlvi rahmatullah alayhi Tahreer farmate hai :
Hadis aur ba'az fiqah ke ba'az aimmah se aashurah ke din surma lagane, nahane, menhdi lagane aur daane (khichda) pakane, kapde badalne aur khushi zahir karne ke mutalliq puchha gaya to unhone jawab diya ke :
Is baarey me Rasulullah Sallallahu Alayhi Wassalam se koi sahih hadis marwi nahin hai, aur mo'atamad (bharose ke qabil) hadison ki kitaabo me is barey me koi saheeh ya zaeef riwayat nahin hai, jo kuchh riwayaten ba'az kitaabon me likhi gayi hai woh mawzuaa (banawati) hain,
📚maa sabat minassunnah 15/16
Aashurah ki ba jamaat namaz ka waqt tareeqah fiqhe hanfi ki kisi bhi kitab me mavjood nahin yeh namaz sakht bidat hai infiradi nawafil jitni parhna ho parhna chahiye. is din tel lagana, sadaqah karna, itar lagana, bhuke ko khilana, yateem ke sar par haath ferna, paani pilana, mariz ki iyadat karna, in kaamo ki fazail ki ahaadis hazrat shah Abdul haq muhaddise dehlvi rh. ne mawzua qaraar diya hai.
📚maa sabat minassunnah 17/22
Lihaza in kaamo ko *khaas aashurah ke din hi ziyadah fazail wale samajh kar* na kiye jaaye, balke aam dino ki tarah kiya ja sakta hai.
✳
SEHRI-05:09
IFTARI-06:22
Surat, navsari, bharuch aur valsad aur us ke qareebee dihat ke liye ye time hai.
✳
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment