Saturday, October 22, 2016

Islami shareeat me ba'az ikhtiyar sirf mardon ko diye gaye hain aurton ko nahin jaise talaaq dena, ek se ziyadah shadi karna wagairah haq aurton ko kyun nahin diye hain?

⭕AAJ KA SAWAL NO.819⭕

Islami shareeat me ba'az ikhtiyar sirf mardon ko diye gaye hain aurton ko nahin jaise talaaq dena, ek se ziyadah shadi karna wagairah haq aurton ko kyun nahin diye hain?

🔵Jawab🔵

Allah ta'ala hakeem-bada  hikmat wala hai use pata hai kon se ikhtiyar kis ko diye jayen aur kisko nahin usne jo kuchh qanoon banaya hai woh bilkul sahih hai usi me hamari dunya akhirat ki bhalai hai chahe hamari naqis-adhuri aql aur samajh me aaye ya na aaye Allah hamara malik aur aaqa hai. ham bande aur gulam hain uske qanoon ko manna hi hamara fareezah hai us ki hikmat aur maslihat ma'alum karna us ki bandagi ke taqaze ke khilaf hai. Fir bhi ba'az gair muslim puchhte hain ya aetraz karte hain isliye الحمدلله hamare ulamaa e kiram ne har masle aur qanoon ki aqli wajah, us ki hikmat aur faidah bhi likha hai islam ka ek bhi qanoon law aisa nahin hai ke jis par koi aetraz-ishkal kiya gaya ho aur us ka jawab hamare paas mavjood na ho. Ba'az logo ko pataa nahin hota is ka yeh matlab hargiz nahin ke us ka jawab hamare paas mavjood nahin. kal aham aetrazat ke jawabat diye jayenge INSHA ALLAH انشاءلله

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻*Update Islamic Group App..*

_Naye category add hue h alhamdulillah.._

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...