⭕AAJ KA SAWAL NO. 822⭕
Islam me shohar ko ek se zayadah nikah karne ki kyun ijazat hai?
🔵Jawab🔵
Is ki do wajha kal guzar chuki.
3. is ki tisri wajha ye hai ke har mulk me aurat jald burhi ho jati hai aur mard ki taqat burhape me bhi aksar salamat rehti hai aur burhape me dusri bivi ki zaroorat ho us ke bawajood us ko ijazat na di jaye aesa qanoon banaya jaye to woh qanoon zina-badkari ka rasta batayega? aesa qanoon insanon ki halat ke mutabiq kese ho sakta hai.
4. baaz martaba aurton ko aesi majbooriyan aa jati hai ke un ke liye ye rasta khula na rakha jaye ke woh aese mardon se nikah kar len jin ke gharon me pehli aurten mavjood ho to us ka natijah zina aur badkari hoga, ek hi baat par gaur karo ke har saal kisi na kisi mulk me lakhon mardon ki jane ladai aur jung me jaati hai aur aurten bilkul mahfooz rehti hai, aesa waqiaat hamesha hote rahe hai aur mulhtalif qaumen aabad hone ki wajha se hote rahenge aur hamesha aksar mulkon me aurton ki tadad mardon ke muqabalah me badhti rahegi to in aurton ka kabhi socha hai? in ki fitri qudrati jismani khawahish kese puri hogi ? kya ek se zayadah nikah par rok lagane wale in aurton ke huqooq barbad nahi karna chahte !
Afsos hai ek galat usool ki tarafdari me aurton ki in zarooraton ke ek lamhe ke liye nahi sochte !
📗AHKAME ISLAM AQL KI NAZAR ME
SAFA 196 - 197 ka khulasah.
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment