Saturday, October 15, 2016

3 TALAQ EK SAATH DENA

3 TALAQ EK SAATH DENA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 812 ⭕
Baz log Tin talaq ek sath dete hai aese logon ke bare me islam kya kehta hai?

🔵Jawab🔵

Aese logon ke bare me hadees me badi narazgi ke izhar kiya gaya hai, Hazrat mahmood bin labeed farmate hai ke huzoor صل اللہ علیہ وسلم ke samne Ek aese shakhs ka zikr huwa jis ne apni bivi ko tin talaqen ek sath dee thi, Huzoor ﷺ sun gussah me khade ho gaye aur farmaya kiya kitabullah-quraan se khel aur mazaq kiya ja raha hai, halan ke me tum me mavjood hun.

yahan tak ke ek shakhs khada huwa aur us ne kaha, ya rasoolallah ! Me use qatal kar dun?

Is Hadees me ek sahabi ne aese admi ko qaral ke qabil samjha, lekeen Huzoor ﷺ ne us ki ijazat to nahi di lekeen Huzoor ﷺ jo sirf shareeat ke khilaf hi kamon par gussa farmate the aur gusse me khade ho jana aur is ko quran ke sath khilawad qarar dena Allah aur us ke rasool صل اللہ علیہ وسلم ki sakht narazgi ki daleel aur bahut darne ki cheez hai.

📗NASAI KITABUT TALAQ

Hazrat anas رضی اللہ عنہ farmate hai ke hazrat umar رضی اللہ عنہ ke pas koi aesa shakhs laya jata jis ne apni bivi ko ek sath tin talaqen dee hai, to aap رضی اللہ عنہ us ki kamar par kode marte the.

📘FATH 9/315

Hafiz ne kaha is hadees ki sanad saheeh hai.

📕FIQHI MAQALAT 3/187 SE MAKHOOZ

Agar islami hukoomat ho to Badshah ko aese admi ko kode lagane wagairah saza dene ki ijazat sabit hoti hai.

Tin Talaq ek sath me dena sakht haraam aur kabeerah gunah hai, ek kabeerah gunah jahannam me le jane ke liye kafi hai.

Note: Tin talaq ek sath dee to waqia ho jati hai, Hamare muashare ki ye buraai door karna ye ulamaa e kiram ka kaam hai ye masla quran se sabit hai, Allah ne qanoon qayamat tak ke haalat ko dekh kar banaya hai, us me galti nahi ho sakti,insan ka qanoon ho to us me galti ho sakti hai isliye badla jata hai.allah ke qanoon ko badalne ka ikhtiyar khud Allah ke nabi صل اللہ علیہ وسلم ko nahi tha to hame kese ho sakta hai !

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...