🍹MUHARRAM KA SHARBAT🍷
⭕AAJ KA SAWAL NO. 801⭕
Muharram ke dino me jo log sharbat ki sabeel-parab lagate hain woh jaiz hai ya nahin?
Is me chanda dena jaiz hai ya haraam?
🔵Jawab🔵
Sharbat ya paani hi pilaane ki pabandi galat aur gair saabit hai. agar sardi ka mausam hai ho tab bhi sharbst hi pilaya jaye! (aisa muhallah(street) ho jis me har ghar me thanda aur matke ka pani mavjood hai to jahaan paani ki zarurat nahin wahaan bhi paani ke matke hi ki sabeel lagane ka kya maqsad hai?) ek galat aqeedah ko bhi is me dakhal hai woh ye hai ke hazrat Husain رضی اللہ عنہ ke mutalliq mashhoor hai ke piyase shaheed kiye gaye aur yeh sharbat aur paani un ke pas pahonch kar un ki piyas bujhayega. Is aqeedah ki islaah zaruri hai. yeh sharbat wahaan nahin pahonchta na un ko is shsrbat ki zarurat hai. Allah paak ne unke liye jannat me a'ala se a'ala (behtareen )ni'amaten
Ataa kar rakhi hain jin ke muqabalah me yahan ka sharbat koi haisiyat nahin rakhta. و الااللہاعلم
📗FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 20/278
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment