Sunday, October 23, 2016

TALAQ KA IKHTIYAR AORTON KO Q NAHI

TALAQ KA IKHTIYAR AORTON KO Q NAHI

⭕AAJ KA SAWAL NO. 820⭕

Islam me talaq dene ka ikhtiyar sirf mardon ko hai, aurton ko kyun nahi?

🔵Jawab🔵

1.
mard ko aurat par Allah taala ne ek qism ki bartari dee hai, kyun ke shadi ke baad aurat ka mahar, walime ka kharch, aur bivi bachchon ke khane pine kapde wa makan wagairah ka kharch, islam ne mard ke zimme rakha hai, agarche aurat maaldaar ho aur kamaati ho, aur apna kharch khud bhi utha sakti ho to bhi kharch ki zemmedari mard se muaaf nahi hoti hai, aur aksar aurton ke muqabalah me intizami salahiyat, aql samajhdari, gusse par control? quwwate bardashat, ranjo gam se jaldi mutassir na hona ye tamam sifat aksar mardon me zayada hoti hai.

lihaza aksar mard talaq aksar aurton ke muqabala me soch samjh kar dega, kyun use malum hai ke talaq ke baad bhi bivi ka iddat tak ka kharch aur bachchon ka balig aur shadi hone tak ka kharch aur bivi ko parwarish aur dekh bhal ka kharch, dusri shadi ke mahar walime ka kharch mard ke zimme hai, aesa koi kharch aurat ke zimme nahi hai, lihaza ye sab kharch us ke zimme talaq ke baad dobarah aayenge, isliye mard soch samjh kar talaq dega.

Aurat ke zimme dusri shadi ke baad bhi kisi qism ka kharch us ke zimme nahi aayega, balke dusri shadi ki wajha se mahar aur kapde wagairah dusre shohar se milega. lihaza woh talaq dene ki zayada jurrat karegi.
aur aksar auraten jald baaz, jazbati, ranj wa gam se jaldi mutassir hone wali, kam samjh hoti hai, agar talaq ka ikhtiyar use diya jaye to jitni talaqen mard waqia karta hai us se duble aurten waqia  karti,

Mard talaq dena ka ikhtiyar aurat ko bhi de sakta hai jese tafweez kehte hai, jab mard aurat ko talaq dene ka ikhtiyar dega to aurat bhi apne aap par talaq waqia kar sakti hai, ek duar arab me esa bhi guzra hai ke aurat shadi hote hi tafweez ke zariye talaq ka ikhtiyar shohar se apne naam par likhwa liya karti thi? us zamane me autaten mamooli jhagde me bhi talaq apne aap ko dene ke waqiaat bahot zayada huwe the,

lihaza tajrabah wa aql us baat ko maan leti hai ke asal talaq dene ka ikhtiyar mardon ko hi hona chahiye.

*NOTE*
Har so (100) me ek do aurten aesi bhi hoti hai jo mardon se zayada aqalmand, gusse par qabu rakhnewali wagairah sifat me mardon se aage hoti hai aur baz mard aurton se zayada na samjh, jaldbaz wagairah kamzori rakhne wale hote, lihaza shareeat ke hukm ka daromadar aksar logon ke aetibar se hota hai? baz logon ke aetibar se nahi hota.

📗aili tanazuaat ka sharee hal aur shohar ko haqqe talaq kyun
safa21 se 23 ka khulasah.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
Update Islamic Group App.

Naye category add hue h Alhamdulillah.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...