Thursday, October 20, 2016

SAAS (mother in law) KI KHIDMAT KA HUKM

SAAS (mother in law) KI KHIDMAT KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO. 817⭕

1. Saas ki khidmat karna bahu ke zimme zarooree hai?

2. Saas ki khidmat shar'an zaruri nahin lekeen shauhar maaldaar na ho ke khadim rakhe aur khud karobar me mashgul rehta ho to bivi ko kya karna chahiye ?

🔵JAWAB🔵

1. Baaz  aadmi is ko badi saadatmandi samjhte hain ke bivi ko apni maa ka mahkoom wa magloob (nokrani-khadimah) bana kar rakhen, aur us ki badolat biviyon par bade bade zulm hote hai, so samajh lena chahiye ke bivi par farz-zarooree nahi ke saas ki khidmat kiya kare, tum (shohar-beta) saadat mand ho, khud khidmat karo ya khidmat ke liye nokar laawo.

📗islahe inqilabe ummat safa 188 jild 2

2. Mazkoorah surat me bhi na to shauhar bivi ko khidmat par majboor kar sakta hai na to  saas zabardasti khidmat le sakti hai, lekin jab mavqah aesa ho to shari'at akhlaq ki bhi taleem deti hai.
shauhar maaldaar ho aur khadim rakh bhi sakta ho fir bhi bivi bila kahe  khidmat karegi to shauhar saas aur tamaam gharwalon ke dilon me us ki muhabbat, qadar aur martabaa badhega aur sab ke dil aapas me judenge aur bivi Allah ke qurb aur ajro sawab ki mustahiq hogi, khususan saas sasur muhtaj ho to khidmat karna behtar hai, ek din ye miya bivi bhi saas aur sasur banenge, yeh khidmat karenge to in ki aane wali awlad bahu bhi khidmat karegi,

khulasa ye hai is bare me na to saas khidmat ko apna haq samjhe na to bahu fatwe ko lekar apne akhlaqi fareezah se gaflat aur be rukhi barte, balke saas, bahu ki khidmat ko bahu ka aehsaan samjhe, us khidmat me kuchh kotahi ya kami ho to gussa karne aur baras ne ke bajaaye dar guzar aur chashm poshi (let go) se kaam le aur us ki khidmat par taareef kare, duaayen den aur us ka hadiye ki surat me kuchh badla bhi de aur Saas bahu ko apni beti, aur bahu saas ko apni maa samjhe aur khidmat ke mavqe ko ganimat samjhe aur un ki duaa le, aur us par kuchh naa rawa sulook ho to sabr se kaam le aur us par Allah ki khushnudi aur apne darje ki buland hone ki Allah se ummeed rakhe.

📘MISAALEE DULHAN SAFA  307 se 311 KA KHULASAH

📝 MUFTI IMRAN ISMAAIL MEMON
DAARUL ULOOM RAAMPURA SURAT
Roman Urdu me masaail dekhne ke liye zarur dekhiye

http://www.aajkasawal.page.tl

Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...