Tuesday, October 18, 2016

TALAQ SHUDA AURAT KI IDDAT& IDDAT SE ZIYADAH KHARCHA LENE KA HUKM

💸TALAQ SHUDA AURAT KI IDDAT&
IDDAT SE ZIYADAH KHARCHA LENE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.815⭕

Mutallaqah (divorced) ki iddat kitni hai aur iddat ke baad dusre nikah hone tak ya puree zindagi ka kharch court dilwaye to lena jaiz hai ya nahin?

🔵JAWAB🔵

Fatawa raheemiyah me hai: mutallaqah Aurat iddat ke kharch ki haqdar hai. dusre nikah ya wafat tak ka nafqah talab karne ka haq nahin hai. Islami qanoon ke muqabalah me hukoomat -sarkari qanoon ko tarjeeh dena ya uspar pehle amal karna aur usko pasand karna aur uske mutabik nafqah -kharch hasil karna zulm aur haraam hai aur iman ko khatrah me dalna hai.

📗(fatawa raheemiyah 5/409)

Ek aur jagah likhte hain: mutallaqah Aurat ke liye sharaee hukm yeh hai ke agar usko haiz aata ho to teen haiz tak, haiz na aata ho to teen maheene tak, hamilah ho to hamal janne tak nano nafqah kharch diya jaye is ke alawah kharcha lena Qur'ani taalimat ke bilkul khilaf hai aur hudoodullah -shareeat ki boundary se aage nikal jana hai aur shohar par zulm wa zayadati Hai.

📘MAHMOODUL FATAWA 6/364 BAHAWALLA
📔FATAWA RAHEEMIYAH 5/417

Not: agar iddat baad bhi kharcha milta rahega to dusre nikah karne ki fikr paida na hogi aur shareeat kisi Aurat  ko bagair nikah ke zindagi guzarne ko pasand nahin karti. jab tak dusra nikah na ho qareebee rishtadar par iddat baad kharcha dena wajib hai jis ki tafseel ayindah bayan hogi INSHA ALLAH انشاءاللہ

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...