Monday, December 21, 2015

Nikaah ka Huqm

🔶MUKHTALIF HALATON ME NIKAH KE MUKHTALIF HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.562⭕

⚫Nikaah kah karna kab farz,wajib, sunnat,haraam aur makrooh hota hai?

🔵JAWAB🔵

✪ Farz :-

⇛ Kisi shakhs per Shahwat ka is qadar galba ho k agar Nikaah na kare to zarur zinakari me mubtala ho ja’ega,

→ Aur usko baqadre zarurat nafqa-kharcha aur Mahar per haqeeqatan ya hukman qudrat bhi haasil he,

→ Shar’an us per Farz he k Shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hufazat karen

✪ Wajib: –

⇛ Agar kisi per Shahwat ka galba he k Shaadi na kare to zina me mubtila hone ka khof he, lekin yaqeen nahi,

→ Aur usko bivi ke naan v nafqa per qudrat bhi haasil he,

→ Ese shakhs per Shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat wajib

✪ Sunnat: –

⇛ Agar koi shakhs Nikaah ke qabil ho gaya, Naan nafqa-kharche per qudrat haasil he aur humbistari per bhi qudrat he, Nikaah se koi aur shara’i rukawat mojood nahi, ese shakhs ke liye Nikaah karke ba izzat zindgi guzaarna shar’an masnoon he,

→ Kyuki ye Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka daa’imi-hameshgi ka amal he,

→ Aur Shaadi se Eraaz karne walo per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne radd farmaya,

→ lihaza esa shakhs itteba e sunnat ki niyat se apni ismat ki hifazat aur Saaleh aulaad ke husool ki niyat se Shaadi kare to ajro sawab Hoga

✪ Haraam: –

⇛ Agar kisi shakhs me Bivi ke huqooq adaa karne ki taaqat na ho,

→ maslan na mard he, ya naan nafqa per haqeeqatan ya hikman qaadir nahi, neez mizaaj ki sakhti vagera

→Kisi vajah se usko yaqeen he k Bivi ke huqooq adaa nahi ho sakenge,

→To ese shakhs ke liye nijah karna haraam hai
✪ Makrooh Tehrimi: –

⇛ Jis shakhs ko Bivi per zulm ka yaqeen to na ho lekin galib gumaan yahi he k zulm ho ja’ega,

→To ese shakhs ke liye jab tak ada e huqooq per qudrat na ho Nikaah karna makrooh Tehrimi hai

📗IZDUWAJI ZINDAGI KE SHAREE MASAIL
📘DURRE MUKHTAR 7/3

✏HAQ KA DAI ANSAR AHMAD

®TASHEEH TASHEEL WA TASDEEQ
(MUFTI)IMRANISMAILMEMONSURATGUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...