Saturday, December 19, 2015

KON SE JAGA KESE PARDA KARNA CHAHIYA

⚪KON SI JAGA KESA PARDA KARNA, KARAANA CHAHIYE?

⭕AAJ KA SAWAL NO.560⭕

Aurat ke liye Na- mahramo se Parde ki kiya Had kon si jaga kiya hai?

🔵JAWAB🔵

★ Ajnabi Na- mahramo se chaardiwari ka parda he aur Jo Na- mahram Rishtedar ho’n aur Aurat unke saamne Jane per majboor ho, Unse chaadar ka Parda laazim he, iski tafseel Hazrat Thanvi Rh ke risale ” Ta’alimul Taalib ” se naqal karta hu’n: –

★ ” Jo Rishtedar shar’an Mahram nahi, maslan Khala zaad, Mamu zaad, Fufi zaad Bhai ya Behnoi ya Dever vagera, Jawan Aurat ko unke ru ba ru ( saamne ) aana aur Be takalluf baate karna hargiz nahi chahiye,

⇨Jo makaan ki tangi ya har waqt ki aamad o raft ki Vajah se gehra parda na ho sake to Sar se paanv tak tamaam Badan kisi chaadar se dhaank kar Sharm v lihaaz se Ba-zarurat ru ba ru ( saamne ) aa jaye,

⇨Aur kalaai ( wrist) Baaju aur Sar ke Baal aur Pindli in sabka zaahir karna haraam he,

⇨Isi tarah in logo ke Ru ba Ru itar lagakar Aurat ko aana jaa’iz nahi aur na hi bajta hua zever pehne, ”

® Ta’alimul Taalib, 5

📗Aapke Masail aur unka Hal, 8/35

✏HAQ KA DAEE ANSAR AHMAD SAHAB
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...