Wednesday, November 28, 2018

TALAQ SHUDA AURAT KI IDDAT & IDDAT SE ZIYADAH KHARCHA LENE KA HUKM*

💸. *TALAQ SHUDA AURAT KI IDDAT & IDDAT SE ZIYADAH KHARCHA LENE KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1559⭕

Mutallaqah ki iddat kitni hai aur iddat ke baad dusre nikah hone tak ya poori zindagi ka kharcha court dilwaye to lena jaiz hai ya nahin?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Fatawa raheemiyah me hai: Mutallaqah aurat iddat ke kharche ki haqdar hai. dusre nikah ya wafaat tak ka nafqah talab karne ka haq nahin hai.

*Islami qanoon ke muqabalah me hukoomat (sarkari) qanoon ko tarjeeh dena (usper pehle amal karna) aur us ko pasand karna aur us ke mutabiq nafqah (kharcha) hasil karna zulm aur haraam hai aur iman ko khatre me dalna hai.*

📗Fatawa raheemiyah 5/409)

Ek aur jagah likhte hain: mutallaqah aurat ke liye sharaee hukm yeh hai ke agar usko haiz aata ho to teen haiz tak, haiz na aata ho to teen maheene tak, hamilah ho to hamal janane tak nano nafqah  (kharcha) diya jaaye, *iske alawah kharcha lena Qurani taalimat ke bilkul khilaf hai aur hudoodUllah (shareeat) ki boundary se aage nikal jaana hai aur shohar par zulm wa ziyadati Hai.*

📘MAHMOODUL FATAWA 6/364 BAHAWALLA

📔FATAWA RAHEEMIYAH 5/417

و اللہ اعلم بالصواب

*🌙ISLAMI TARIKH: 18 RABIUL AWWAL 1440 HIJRI*

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲💻
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...