🕘 DAIN DEE HUI MUDDAT SE JALDI WASOOL KARNE KA Less
⭕AAJ KA SAWAL NO.1543⭕
mere ek admi ke pas maal ka paisa 10,000 rs. Baqi hai lekin us ko maal mene ek maheene ki muddat tay kar ke becha tha mujhe paison ki zaroorat hai to me use 5 % Less kar dene ki lalach is shart par dena ke apna payment mujhe 15 din me de do to ye jaldi wasool kar ke 5% kami kar sakta hun? Aur khareedar ke liye ye less ka paisa jaiz hai?
🔴AAJ KA JAWAB🔴
Mazkoorah surat me 15 din jald payment wasool karne ke liye muddat ke badle me Less-pesa kam wasool karna sood-intest ki soorat hai lihaza haraam hai.
📗qudooree safa 134 babus sulhi se mustafad
📙ahsanul fatawa 7/180
Aap ki darkhast par less-kam dene ki shart ke bagair jaldi de de to aap khud hee apni khushi se pesa jitna kam karna chaho kar sakte ho lekeen jald dene ki pehle se shart lagana fir jald wasoool hone par time ke badle pese kam karna jaiz nahi.khareedar ke liye ye mazeed faida sood hai
📘Kitabul fatawa 5/217
✏ IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment