*MASJID ME SUNNAT KAHAAN PADHE*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1558⭕
Masjid me fajr, zohar ki sunnat kahaan padhni chahiye?
Log kahin bhi padhte lete hain.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Masjid me sunnat sahan (varande) me padhni chahiye, sahan ya koi alag jagah na ho to masjid ke kone me is tarah padhni chahiye ke aane jane me aur jamaat khadi ho jaaye to saf banane me koyi haraj (taklif) aur ishtibah (galat fahmi) na ho ke yeh sunnat padh raha hai ya jamaat ke saath farz padh raha hai,
*_Iske khilaf karna makrooh e tahrimee hai_*
Is baare me chhoti masjidon me badi kotahi paayi jaa rahi hai, is taraf tawajjuh karne ki zarurat hai.
📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 152 SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : 17 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment