Tuesday, November 20, 2018

MEELAD KI NIYAZ KA HUKM

*MEELAD KI NIYAZ KA HUKM*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1554⭕

EID E MEELADUN NABI صلی الله عليه وسلم KI NIYAZ KHANA KOUN SI SURAT ME JAIZ AUR KOUN SI SURAT ME NA JAIZ ?

🔵JAWAB🔵

MEELAADU-N-NABEE صلی الله عليه وسلم KI  TA'YEEN-12 HI TAREEKH TAY KARNE KE  SAATH KHANA  PAKAANA
(LOGON KO JAMAA KARNA) WAGHAIRAH GUMRAH KARNE WALI BID'ATE HAI, US SE BACHNA ZAROOREE HAI, AUR AGAR KHANE  ME NIYYAT ISAALE SAWAAB  KI HAI TO  KHANA MUBAAH (NA SAWAB NA GUNAH)  AUR  SADQAH HAI,

AUR  AGAR  AKABIREEN  KE  NAAM  PAR  HAI (UN KO RAZI KARNE KI, UN SE QAREEB HONE KI NIYYAT HO, ALLAH KE NAAM PAR NA HUWA) GAIRULLAH KE NAAM PAR ZABAH KARNE KI SOORAT ME DAKHIL  HONE KI  WAJAH  SE HARAM HAI,  AUR  AISE  AQAAID  FAASID  AUR  KUFR  KE  BAAIS  HAI..

( JAIZ SURAT)👇🏻

ISAALE  SAWAAB AGAR  DIN AUR  KHAS KHANE  KO TAY KIYE BAGAIR SIRF ALLAH KO RAZI KARNE KE LIYE HO TO MUSTAHAB HAI,ISALE SAWAB KA KHANA SIRF GAREEB KHAYE MALDAR KO KHANA MANA HAI.

📘MALFUZAT JILD 3. SE MAKHOOZ (MOLANA AHMAD RAZA)
AGAR  DIN  AUR  KHANE  KO KHAS KARNE KE  SATH HO TO  BID'AT HAI.

📗FATAWA  RASHIDIYA /138
📘FATAWA MAHMOODIYA 15/429

AISE  MAWQON  ME IS TARAH  KE  KHANE  PAKANE  KA  SHARIAT ME  KOI SUBUT NAHI, LIHAZA  YE KAAM  NA  JAAIZ  AUR  BID'AT  HAI, AGAR  MAHAZ  RASM  KE  TOR  PAR  PAKAYA  JAYE,  SAWAAB  KA  AQEEDA  NA  HO  TO  BHI  USME  BID'AT  KI  TAYEED-HONSLA AFZAEE AUR RIWAJ DENA HAI, LIHAZA  US SE BACHNA LAZIM HAI,  USI  BINA PAR  KHANA  QUBOOL  KARNE  SE  BHI  BACHNA  CHAHIYE, ISKE  BAWUJOOD YE  HARAM  NAHI HAI.

📔AHSANUL FATAWA 1/375
BY SHAIKHUL HADEES MAULANA AHMAD RAHIL SB D.B.MADRASAH KANZE MARGOOB PATAN

 JAWAZ PAR AKAABIREEN IBARAT SE DALEEL PAKADNE KA JAWAB:
SHAAH ABDUR RAHEEM DAHELVI RAHMATULLAHI ALAYHI FARMATE HAI KE :
ME WILADAT KE DINON ME HUZOOR صلی الله عليه وسلم KO ISALE SAWAB PAHONCHANE KI NIYYAT SE KHANA PAKWATA THA. EK BAAR AESA HUWA KE MERE PAAS KUCHH NA THA KE ME KHANA PAKWATA, BHUNE HUWE CHANO KE ALAWAH. TO MENE USI KO LOGON ME TAQSEEM KAR DIYA...

IN JESE BUZRUGON KI IBARATON ME NA VILADAT KI HAD SE ZAYADA ROSHNI KA TAZKIRAH HAI, NA KHANE KE LIYE LOGON KA JAMA KARNE KA ZIKR (NA 12 TAREEKH KA ZIKR HAI, BALKE LIKHA HAI MAVLOOD YANI VILADAT KE DINO ME,NA JABARDASTI KA CHANDA HAI, NA SHAREEK NA HONE WALON KO HAQEER SAMJHNA HAI, NA MANDAP THA, NA RASTA BANDH KAR KE AANE JANE WALON KO TAKLEEF PAHONCHNA HAI) LIHAZA IS SE DALEEL PAKADNA SAHEEH NAHI.

📙(FATAWA RASHIDIYYAH 137)
و اللہ اعلم بالصواب
12 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

✒TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON GUFIR LAHOO

🕌MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...