*ALLAH KE DARBAR HUQOOQ WA A'ADAAB*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1550⭕
HUQOOQ KI ADAYGI BAHOT ZARURI HAI AUR HAR EK SE TALLUK KUCHH A'ADAAB HOTE HAIN US A'ADAAB SE DUNIYA WA AAKHIRAT ME FAYDAH AUR TARAQQI HOTI HAI ALLAH KE KYA HUQOOQ WA A'ADAAB HAI?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Allah ke huqooq wa a'adaab niche bayaan kiye gaye hain.
1⃣.Ibadat sirf Allah ta`ala hi ki karna.
2⃣.Allah ta`ala ki tazeem (izzat) karna.
3⃣. Allah ta`ala se darte rehna,
4⃣.Alah ta`ala ki Ibadat me mashgool rehna aur na-farmani chhod dena.
5⃣.Allah ta`ala ke samne aajiz (laachar) aur muhtaaj bane rehna,
6⃣.Sirf Allah ta`ala hi par bharosa karna.
7⃣.Allah ta`ala ke saath achchha guman rakhna.
8⃣.Allah ta`ala se hayaa karna (Har woh kaam jo ham logon ke samne sharm ki wajah se nahin karte hain Allah ta`ala se sharmo hayaa karte huve use khas taur par chhod dena)
9⃣.Allah ta`ala ka kasrat se zikr karna.
🔟. Allah ta`ala se mulaqat ki tamana karna,
1⃣1⃣. Allah wa Rasul SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki muhabbat tamaam chizon ki muhabbat se ziyadah hona.
1⃣2⃣. Apne tamaam mua`mlaat (kaam-kaaj) ko shareeat (Qur'an, Hadees) ke mutabiq karna, shareeat ke hi faisle ko maanna.
1⃣3⃣.Deen aasan hai aisa yaqeen rakhna.
📘SUNANO A'ADAAB SAFA 19 SE 21
و الله اعلم بالصواب
*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : 10 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
Naye msg ke liye
🌍 http://aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment