*ROOH (AATMA/ SOULS) KA DUNIYA ME AANA*
⭕AAJ KA SAWAL NO. 1539⭕
Marne ke baad rooh -aatma bhatakti hai aur kabhi dusre ke jism me aa jati hai yeh aqeedah kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Marne ke baad agar maiyyat nek hai to uski rooh illiyeen me ( jannat ki woh jagah jahaan nek rooh jamaa hoti hain) pahoncha dee jaati hai aur agar maiyyat bure aadmi ki hai to uski rooh sijjeen me (jahannam ki woh jagah jahaan buri rooh rehti hain) pahoncha dee jaati hai
Agar shahid ki rooh hai to woh parindon ke poton me jannat me rehti hai
📘(FATAWA MAHMOODIYAH 1/594
📗BAHAWALA KITABUR ROOH)
Islam aawagaman (ek jism ki rooh ka dusre jism me samaa jane) ko nahin manta. yeh aqeedah gair islami hai.
Baaz waqiaat se yeh baat ma'alum hoti hai ke fulan ki aatama fulan me ghus gayi to woh aatma nahin jinnat hote hain Allah ne unko dusron ke jism me dakhil hone ki aur roop (bhes) badalne ki taaqat dee hai, janwar me se jiski shakal chahe bana sakte hain.
Koi bhi marne wale ko farishte jannat me le jaate hain ya jahannam me yeh islam ka atal faisla hai aur farishte Allah ki aisi makhlooq hain jo zarrah barabar naa farmani nahin karti hai unko jo kahaa jaye wohi karti hai
(Surah e tahreem aayat no. 6)
unse koi bhi rooh chhut kar wapas duniya me nahin aa sakti hai buri rooh ko farishte chhodte nahin hai achchhi rooh dobarah badbudar duniya me aana nahin chahti, rahi baat apne rishtedaron ka haal ma'alum karna to jo nek rishtedar baad me marte hain woh pehle mare huve nek logon ko unke rishtedar ke haalaat suna dete hain
Lihaza yeh maanna ke guzre huve logon ki rooh duniya me aati hai aur sataati hai galt hai
📗FATAWA BISMILLAH 2/318
و الله اعلم بالصواب
*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : 29 SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment