Friday, November 30, 2018

NIKAH ME TAAKHIR (LATE KARNE) KE BAHAANE

*NIKAH ME TAAKHIR (LATE KARNE) KE BAHAANE*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1563⭕

A.
Hamaare muashare me ladka shadi ki umar ko pahonch jaata hai aur uski ek bahan bhi shadi ki umr ko pahonchi huyi hoti hai, ladke ko uske munasib ladki mavjood hoti hai aur bahan ka rishta baaqi hota hai to ladke ke nikah me is wajah se der ki jaati hai ke abhi bahan ka nikah nahi huva hai, pehle bahan ka nikah hona chahiye fir bhai ka, qareeb umr ki bahan hote huve bhai ka nikah pehle karane ko aeb samjha jaata hai kya shareeat me iski koyi haqeeqat hai?

B.
Ek martaba bahan ka achchha rishta aaya bhi tha to yun keh kar manaa kar diya ke bahan ko ladka pasand nahi aaya to achchhe rishte, maal ya surat ki buniyad par thukrana kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Hazrat Ali Radiyallahu anhu se riwayat hai ke Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya, *"Aye Ali 3 Cheez me der na ki jaaye*

*1⃣. Namaz, jab uska waqt ho jaaye,*

*2⃣. Janaza jab aa jaaye,*

*3⃣. Be nikah shakhsh (mard ho ya aurat) jab uska jora mil jaye"*

Ladke ki mali haisiyat itni hai ke mahar adaa kar ke aurat ka nano nafqah (zaruri kharcha) bardasht kar sakta hai aur nikah na karne ki surat me zina me mubtala hone ka yaqeen hai to aisi surat me nikah karna wajib aur zaruri hai.

Pehle bahan fir bhai aisi tarteeb shareeat se saabit nahin,  joda mil gaya fir bhi nikah tarteeb ke bahane se nahin kiya aur aaj-kal ki be pardagi aur be hayai ke mahol me ladka zina me mubtalah huva to maa-baap bhi gunehgar honge.

B.
Huzur صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya, *"jab kisi aise shakhs ki taraf se paigam aa jaye jiske akhlaq aur deen se tum mutmain ho to fouran shaadi kar do warna zameen ke andar azeem fitna wa fasad barpa hoga"* (jo aaj-kal zina,  irtidad aur ladka ya ladki ke bhag jane ki surat me hamare samne aa raha hai)

📗TIRMIZI 1\148

Is hadees me achchhe rishte ka me`yar maal, khandan ya khubsurati ko nahin banaya gaya balke sirf deen daari, achche akhlaq ho to nikah ka paigam thukrana bahut bura aur fitno aur gunahon ka sabab qarar diya hai.

و الله اعلم بالصواب

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : 22 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
      Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...