Wednesday, November 14, 2018

In shaa Allah likhne ka tariqah

*In shaa Allah likhne ka tariqah*

⭕Aaj ka sawal no. 1545⭕

Mufti sahab, yeh puchhna chahta hun ke *In shaa Allah* likhne ka sahih tariqah kya hai ?

🔵Jawab🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

likhne ka saheeh tariqah to *in shaa Allah (إن شاء الله)* hi hai,
magar jo ajmee (gair arabee) log *inshaa Allah انشاء الله* likhte hai unke peshe nazar bhi *inshaa Allah* ka ma'anaa *"Allah ko paidaa karna" nahin hota.*

agar hum isee tarah imlaa (likhaai) ki galti se har lafz ka galat ya dusraa ma'anaa lene lag jayen to baat bahut fel jayegi, aur senkḍo alfaaz tak us qaayde ka ḍaayra fel jayga. Is liye behtar yahee hai ke logo ko unki aam aur maanoos aadat par chhod diyaa jaaye, kyun ke jab aadat pukhtaa ho jaati hai to usme tabdili bahut mushkil ho jaati hai.

Jo log is tarah ki muheem chalaa rahe hain uska anjaam aur natija muslmaano me halachal aur bechaini paidaa karanaa hai, aise logo ki baato me na aave. Balke fiqah ki mashahoor kitaab shaami me hai ke:

الخطأ المشهور أولى من الصواب المهجور

Matlab yeh ke :
ek lafz galat hai, magar avaam me rivaaj pad chuka hai to woh usse behtar hai jo sahih hai, magar log use chhod chuke hain.

(هذا ما ظهر عندى। والله أعلم بالصواب

🖋Maulana Saiyyed Aazam Ali Bhopal
✅Tasdeeq Mufti Farid sahab Kavi

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH*
5 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
      Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...