Thursday, November 15, 2018

Paise jald vusool karne ke liye discount dene ki jaiz surat

*Paise jald vusool karne ke liye discount dene ki jaiz surat*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1446 ⭕

Discout ki lalach dete hain to hi paise jald aate hain, lihaza pehle se bataakar ek mahine me paise vusool karne ki discount ki jaiz surat kya hogi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Ghrahak ko pehle se bataa diya jaye ke ek mahine me paisa chuka doge to itne takaa (percent) discount milega aur ek mahine me de dene ki baat tay kar li jaaye aur ek mahine me vusool karne ki koshish bhi ki jaaye,

Agar woh paise ek mahine ke baad deta hai to bhi discount is martaba de diya jaaye kyun ke taakheer ki wajah se time ka aewaz lena jaiz nahin, kyun ke time maal nahin hai ke uski qeemat li jaaye.

Lekin aayindah aise ghrahak ko pehle se bataakar discount na diya jaaye to ye shakal jaiz hogi.

📘AHSANUL FATAWA 7/180 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH : 6 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
      Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...