Saturday, November 24, 2018

FUTU DEKHAKAR CHEEZ BECHNA

*FUTU DEKHAKAR CHEEZ BECHNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1556⭕

Tijarat me ye surat bahut aam ho chuki hai ke bade bade tajir jin ko whole saler kaha jata hai khud ya kisi aejant ke zariye retail me bechne wale ke pas rangin ya sada fotu,image dekhne ke liye bhej dete hain aur us ki tafsilat bhi likh dete hain aur fir kharidar un ko dekhne ke baad order deta hai to sharan ye muaamalah jaiz hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
  Han ye surat shar'an jaiz hai albattah is surat me kharidnewale ko khiyare ruyat hasil hoga yani order dee hui cheezen jab us ko mil jaye to dekhne ke bad kharidar ko ikhtiyar hoga chahe to tay ki hui puri qeemat me le le ya wapas kar de.Aebnikalkar paise kam nahi kara sakta.
Kyun ke fotu me us ki puri haqeeqat maloom nahi hoti isliye wapasi ke ikhtiyar shareeat ki taraf se milta hai.

📗MUHAQAQ WA MUDALAL JADEED MASAIL SAFA 332 SE MAKHOOZ

HAZRAT MUFTI JAFAR MILLI RAHMANI SAHAB KI
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

📱💻http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

📱💻http://www.aajkasawalhindi.page.tl

🖥 *Urdu,hindi,gujrati me islahi aur masail ke parche parhne aur down lode karne aur share karne zaroor dekhe*www.deeneemalumat.net

📱https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.grop

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...