*💍MANGETAR (FIANCEE) KO ANGUTHI PEHNANA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1562⭕
Aaj-kal yeh riwaj ho raha hai ke ladka ladki ki mangani hoti hai to ladka ladki ek dusre ko apne haathon se anguthi pehnate hain fir stage par dono ko aaju-baju me kursi par bithaya jaata hai, to shareeat ki roshni me aisa karna kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Shareeat me mangani ek muaahada-aapas ka agreement hai, iske hone ke ba wajood dono ajnabi aur naa mahram hi shumar honge ek dusre ko dekhne ki aur haath lagane ki bilkul ijazat nahin, isme chand kharabiyan paayi jati hai.
1⃣. Anguthi pehnane me ek dusre ko haath lagana lazim aata hai jo badi be hayai, be gairati aur haraam hai haathon aur aankhon ka khula huva zina hai.
2⃣. Ek dusre ke baaju me bethenge to ladke ko ladkiyan dekhegi aur ladki ko ladke dekhenge is tarah ka makhloot (mixed) mailjhol kayi kharabiyan aur fitne ka sabab hai.
3⃣. Ba'az jagah ladke ko sone ki anguthi pehnayi jaati hai, sone ka koi bhi zewar mard ke liye haraam hai, sirf chandi ki saade char masha ya'ani 4 gram 374 miligram ki anguthi ki ijazat hai is se ziyadah wazan ki ijazat nahin.
4⃣. Saas sasur wagairah ke na-raaz hone ki fikr ki jaati hai, Allah ki na-raazgi ki parwah nahin ki jaati hai, Allah na-raaz ho gaya to yeh rishta hone se pehle hi toot jayega ya hone ba'ad bhi ladayi jhagde honge aur barakate aur sukoon khatm ho jayega
5⃣. Ba-qaidah logon ko jamaa kar ke is tarah mangni karna yeh gair qaum ka tareeqa hai Huzur صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya jisne jis qaum ki mushabahat (copy) ikhtiyar ki kal qayamat ke din us ka hashr usi ke sath hoga.
Lihaza jahaan aisa tareeqa apnaya jaa raha ho deen daar logon ko chahiye ke use roke aur karne walon ko samjhaye logon ne na-jaiz kaam par rokna tokna chhod diya hai isliye log gairon ke tareeqon ko bila jijhak aur bila khauf ikhtiyar karna shurua kar diya hai.
Allah hame isse bachne aur bachane ki taufeeq ataa farmaye...
📗ISLAAMI SHADI SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : 21 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment