Friday, November 16, 2018

BAALON KA JODA BANDHNA

*BAALON KA JODA BANDHNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1548⭕

Aaj-kal aurten jo mukhtalif tareeqe se sar par joda bandhti hain, baaz sar ke upar baaz pichhe aur baaz baalon ko rukhsar (gaalon) par khula chhod deti hain, konsi surat jaiz aur konsi surat na-jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar baalon ka joda sar ke upar bandha jaye to na-jaiz hai,

Hadees me ispar sakht waeed aayi hai aisi aurat jannat ki khushbu bhi sungh nahin payegi.

Aur agar baalon ka joda sar ke pichhe bandha jaye to koyi haraj nahin hai aur baalon ko bandhne aur chhodne ke dusre tareeqe jaiz hai ba sharte ke gair mahram ki nigah na pade aur kuffar ki mushabahat na ho,

*Baalon ka sakht pardah hai hatta ke budhi aurat ke baal dekhna bhi sakht haraam hai.*

📗AHSANUL FATAWA 8/74

و الله اعلم بالصواب

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : 8 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
      Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...