Tuesday, November 6, 2018

DIWALI PAR MILNE JANA

🏃🏼 *DIWALI PAR MILNE JANA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1538⭕

Zaid apne Hindu sir-teacher ko Diwali ke din milne gaya,
sirf is wajha se ke sir ki Tawajjuh hasil ho, imtihan me achchhe number mile,
un ke tehkar ki tazeem ki bilkul niyyat nahi thi balke zaid Hindu ke tehwaron aur mazhabi rusoomat se nafrat karta hai.
To kiya Zaid apne Sir ko milne Jane ki is surat me islaam se nikal gaya?

Nikah naye sire Se parhna padega?

🔵JAWAB🔵

Zaid ko sachche dil se tauba wa istigfar karna zarooree hai.
kuffar ke mazhabi rusoomat me shirkat karna haraam hai, magar Zaid islam se nahi nikla.
Na nikah toota.
kiyun ke us ke dil me dewali kee tazeem nahi thi balke woh dil se in Rusoomat Se nafrat karta tha.

📗JAMIYUL FATAWA 2/358
📘BA HAWALA FATAWA MAHMOODIYAH 9/407SE MAKHOOZ.

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : 28 SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
      Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in

🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...