Thursday, November 8, 2018

MAIYYAT KO EK SHAHAR SE DUSRE SHAHAR LE JAANA

*MAIYYAT KO EK SHAHAR SE DUSRE SHAHAR LE JAANA*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1540⭕

Kisi ne wasiyyat ki ho ke mere marne ke baad fulan shahar ya fulan ganv me mujhe dafan karna to warison ke haq me us wasiyyat ko poora karna zaruri hai?

Waris us wasiyyat ko poora na kare to gunehgar hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jahaan aadmi ka intiqal ho wahin par dafnana awlaa, afzal aur mustahab hai, kisi maqool (aqal me aane wale) uzr se kisi dusre shahar muntaqil kare to uski bhi gunjaish hai ba sharte ki ziyadah takheer na ho.

Aisi wasiyyat ko pura karna zaruri nahin, lihaza waris us wasiyyat ko poora na karen to gunehgar nahin.

📘Alamgiri 1/168

📕Durre mukhtar 3/138

Makhsoos jagah dafan karna, kisi se namaz padhwana aisi wasiyyat ka waaris is qadar aehtamam karte hain ke baaz awqaat sharaee wajibat ki bhi Khilaf warzi ho jati hai, yaad rakhiye sharaee aetibar se aisi wasiyyaten laazim (zaruri) nahin hoti, agar koi baat khilafe shareeat lazim na aaye to us par amal jaiz warna jaiz nahin.

📗AHKAME MAIYYIT SAFA 189

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* 29 :SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

🕌 Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India

*WEB SITE*
Naye msg ke liye
www.aajkasawal.in

Purane aksar msg ke liye
Twitter:
https://goo.gl/szhij4

Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k

YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...