Tuesday, November 20, 2018

AAJ RABEEUL AWWAL KE A'MAL

*AAJ RABEEUL AWWAL KE A'MAL*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1553⭕

A. 12 Rabeeul awwal ke kya amal hai is din kya karna chahiye?

B.Is din gam manana chahiye ya khushi?

🔵Jawab🔵

Is din huzoor صل اللہ علیہ وسلم se jin ki zindagi me 63 baar rabeeul awwal aaya koi aamal manqool nahi aur Huzoor ﷺ ne ummat ko qayamat tak ka pura deen puri amanat dari ke sath bata diya koi cheez nahi chhupai lekin 12 rabeeul awwal ke bare me kuchh nahi bataya.ummat ke faidah ki koi cheez hoti to zaroor batate.sahaba radeeullahu anhum bhi Huzoor ﷺ ke baad 100 sal dunya me zindah rahe un se bhi koi amal manqool nahi.shareeat ki daleel 4 char hai.1.quraan,2.hadees,3.ijmaa (sahaba ya aksar ulamaa e haq ki raay ka muttafiq ho jana),3.qayas (aqlee daleel se koi maslah quran hadees se nikalna jo shareeat se na takrata ho)
Is ke alawah baaz buzrogon ka koi amal jo unhone galbah e haal : makhsoos kefiyat jis me woh shareeat ke mukallaf nahi rehte koi amal manqool ho ya saudi,makkah,madeenah wale koi naya amal shurooa kare to woh jawaz ki daleel nahi ban sakta.

B. Aaj ke din Na khushi manaye na gam kyun ke 12 rabeeul awwal jis tarah wiladat ka din hai isee tarah wafat ka bhi din hai wafat ka din khushi se roknewala hai aur wiladat ka din gami se roknewala hai allah apni bandon ki nafsiyat:mijaz se waqif hai us ne dono isee din karwakar dono baton se rok diya aur janam din ki khushi manana bhi gairon ka tareeqah aur wafat 3 din ke baad gam manana bhi gairon ka tareeqah aur hame pyare nabi صل اللہ علیہ وسلم ne gairon tareeqah ki mushabahat ikhtiyar karne se bhi rok diya hai

📗HAZRAT MAULANA ASHRAF ALI THANWI رحمت اللّٰہ علیہ  KE MALFOOZAT SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

(Is islamic Group app ko update karte rahe)

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...