Sunday, December 3, 2017

QAUM KE GADDARON SE BOYCOTT

*QAUM KE GADDARON SE BOYCOTT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1193⭕

Agar koi shakhs aisa kaam kare jiski wajah se qaum ko, samaaj ko, mulk ko aur deen ko nuqsan pahonchega to aise shakhs se ta'alluqat (relationship)  is taur par todana ke poore shahar me usse koyi baat na kare na usse koyi cheez khareede na koyi cheez beche na uski khushi gami me koi shareek ho aisa karna jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar waqayi me woh koi aisa kaam kare jisse qaum, samaaj, mulk aur deen ko nuqsan pahonchega to aise shakhs ko *(pehle ba asar logon ko bich me daal kar samjhya jaye fir bhi apni harkat ko na chhode to aise shakhs ko)* sabaq sikhane ke liye aur dusron ko ibrat ho is niyyat se puchhi huyi surat ka boycott karna jaiz balke pasandidah hai Huzoor SALALLAHU ALAYHI WASALLAM aur sahaba e kiram radeeallahu anhum se is qism ka boycott karna sabit hai.

📗MAARIFUL QURAAN 4/482 SURAH E TAUBA AAYAT 118. SE MAKHIOZ

📕FATAWA RAHEEMIYAH 6/270

Aur

📘 AHSANUL FATAWA 5/194 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi

✅ *TASDEEQ* HAZRAT MUFTI TAHIR SURTI BAKASWALE SHAIKHUL HADEES WA SADAR MUFTI SUFI BAG SURAT

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...