*CHRISTMAS DAY ME SANTACLOS BANNA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1212⭕
Christmas day qareeb aata hai to school me function hota hai usme hamare ba'az muslim bachcho ko santaclos ka huliya (make-up) banane ko kahaa jata hai aur bahot so ko uski topy pehnai jaati hai to kya bschche yeh libas islami eatibar se pahan sakte hain?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Islami Shateeat me gair qaum se mushabahat ikhtiyar karne ki mumaniat-mana hona aaya hai Hadees shareef me hai jis ne jis qaum ki mushabahat-copy ikhtiyar ki uska hashr qayamat me zinda kiya jana usi ke saath hoga.
Christmas day (naatal) nasara (Christian) ka tehwar hai us me santaclos ka libas ikhtiyar karna unki mazhabi rasm hai lihaza santaclos ka roop (huliya) ikhtiyar karne ki ya uski topy pahenne ki bachchon ko bhi ijazat na hogi isse un ke mazhab ka rang un par chadhta hai aur unki galat tarbiyat hoti hai,
*Jiska gunah tawajjuh na dene ki wajah se maa bap ko hota hai* lihaza us se apni awlad ka bachana zaruri hai.
📗MAKHOOZ AZ MAJMAUZ ZAWAID 5/169
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment