Saturday, December 16, 2017

GHAR ME GUDIYA (DOLL) RAKHNA*

*GHAR ME GUDIYA (DOLL) RAKHNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1206⭕

Bachchon ko khelne ke liye gudiya de sakte hai ya nahi aur gudiya ghar rakhna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar gudiya ya koi khilona aisi hai ke usme jandar ki shaklo surat bani hui nahi to khelne dene aur ghar me rakhne me koi haraj nahi.

agar jandar ki shaklo surat bani hui ho to us ko bachcho ko dena ya ghar me rakhna manaa hai.

📗FATAWA MAHMOODIYAH 19 /503

Hazrat aisha radiallahu anha ka paas jo gudiya thi uske baare me ek qaul to yeh hai ke woh kapde ki thi jis me aankh naak wagairah se shaklo surat bani hui nahi thi,  dusra qaul yeh hai ke yeh gazwah e khandaq aur khaibar ke pehle ki baat hai baad me jaandar ki tasweer wagairah ke halal hone ka hukm mansookh (cancelled)  ho gaya.

📙FATAWA QASMIYAH 24/571

📘JAWAHIRUL FIQAH JADEED 7/250 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...